suna hai mohabbat me asar hota hai
kahan hota hai , kaunse shehar me hota hai ??
wo aur honge jinko mili hogi tujhse zindagi
humpe to jabb bhi nazar padi , aur marr gaye ...
le chala jaan meri ruth kar jaana tera
aise aane se to accha tha , naa aana tera
khaamosh se baithey hain pachtaaenge aap,
ishq jaag uthta hai aksar , aisi khaamoshiyon ke baad !!
humne maana taghaful na karoge lekin ,
khaak ho jaaenge tumhe khabar hone tak ...
kis tarah se mumkin tha ek shaakh pe khilte ,
main ke ek hijr ka lamha , tu visaal ka mausam
juda na karde kahin hamein ye fark zara sa ,
hamein Qurbaton ki chahat ,
tumhe Faaslo ki aadat !!
Yun to har Cheez salamat hai Duniya me meri ,
Ek ta-alluq hai , jo tuta sa lagta hai ....
No comments:
Post a Comment